Kabhi Jo Nikhat-e-zulf-e-nigar Aai Hai

kabhi jo nikhat-e-zulf-e-nigar aai hai

faza-e-murda-e-dil mein bahaar aai hai

zarur teri gali se guzar hua hoga

ki aaj baad-e-saba be-qarar aai hai

koi dimagh tasawwur bhi jin ka kar na sake

ye jaan-e-zar wo lamhe guzar aai hai

tujhe kuchh us ki KHabar bhi hai bhulne wale

kisi ko yaad teri bar bar aai hai

KHuda-gawah ki un ke firaq mein 'kausar'

jo sans aai hai wo sogwar aai hai

(1207) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Jo Nikhat-e-zulf-e-nigar Aai Hai In English By Famous Poet Kausar Niyazi. Kabhi Jo Nikhat-e-zulf-e-nigar Aai Hai is written by Kausar Niyazi. Read famous Poem Kabhi Jo Nikhat-e-zulf-e-nigar Aai Hai for youth and Student by Kausar Niyazi. Free Download Kabhi Jo Nikhat-e-zulf-e-nigar Aai Hai in PDF.