Zamin Ki God Mein BaiTha Humak Raha Hun Main

zamin ki god mein baiTha humak raha hun main

falak pe chand ki jaanib lapak raha hun main

nahin hai apni zamin ki koi KHabar lekin

KHala mein dur kisi shai ko tak raha hun main

naha gaya hun KHud apne lahu mein sar-ta-pa

junun ki aag mein lekin dahak raha hun main

agarche zulmat-e-shab mein kami nahin aai

misal-e-mah-e-daraKHshan chamak raha hun main

har ek samt badalti ruton ka matam hai

shagufta ghunche ki surat chaTak raha hun main

parakhne wale mujhe dekh is tarah bhi zara

agar hai khoT to kaise chamak raha hun main

giri hi jati hai diwar-e-girya har lahza

kisi ki aankh se shayad Dhalak raha hun main

tamam shahr ne didar kar liya 'kausar'

ab apni lash ke chehre ko Dhak raha hun main

(903) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin Ki God Mein BaiTha Humak Raha Hun Main In English By Famous Poet Kausar Niyazi. Zamin Ki God Mein BaiTha Humak Raha Hun Main is written by Kausar Niyazi. Read famous Poem Zamin Ki God Mein BaiTha Humak Raha Hun Main for youth and Student by Kausar Niyazi. Free Download Zamin Ki God Mein BaiTha Humak Raha Hun Main in PDF.