Renge Lamhon Ka KHauf

main atom-bomb ke Dher pe baiTha soch raha tha

ye raushniyon aur rangon ka sailab-e-rawan

ye resham ke lachchhon aisa narm badan

ye barf ke gale se is nanhe seb ki nind

ye us ki farishton jaisi masumana hansi

ye gandum ke danon se nanhe nanhe dant

ye kaliyon ki manind tar-o-taza ruKHsar

ye gesun ki KHushbu se na-waqif nak

ye cigarette ke dhuen se begana dahan

ye mere apne dil si kushada peshani

ye subh ki pahli kirnon jaise us ke baal

ye sab kuchh us ka apna hai lekin phir bhi

ye sab kuchh aaKHir kab tak us ka apna hai

ye mera apna KHun hai mere hathon mein

ya meri sahmi sahmi be-KHwab aankhon mein

ye mustaqbil ka koi bhayanak sapna hai

main KHud apni hi sochon ke par noch raha tha

main atom-bomb ke Dher pe baiTha soch raha tha

(799) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Renge Lamhon Ka KHauf In English By Famous Poet Kausar Niyazi. Renge Lamhon Ka KHauf is written by Kausar Niyazi. Read famous Poem Renge Lamhon Ka KHauf for youth and Student by Kausar Niyazi. Free Download Renge Lamhon Ka KHauf in PDF.