Aaina Dekhta Rahta Hai Sanwarne Wala

aaina dekhta rahta hai sanwarne wala

kaun ab hoga yahan pyar pe marne wala

kis ki chahat ka bharam rakhta hai dil mein apne

teri KHatir nahin koi bhi marne wala

bazm se uThne se pahle ye zara soch bhi le

KHwab ban jaega nazron se guzarne wala

har ghaDi wo bhi to logon ki tarah hain rahta

pahle simTa tha kaha KHud se bikharne wala

hum nahin kahte ye haalat batate hain hamein

kab sukun pata hai haalat se Darne wala

gardishen waqt se kahta hai koi ja ke 'kiran'

ek lamha bhi nahin pas Thaharne wala

(959) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaina Dekhta Rahta Hai Sanwarne Wala In English By Famous Poet Kavita Kiran. Aaina Dekhta Rahta Hai Sanwarne Wala is written by Kavita Kiran. Read famous Poem Aaina Dekhta Rahta Hai Sanwarne Wala for youth and Student by Kavita Kiran. Free Download Aaina Dekhta Rahta Hai Sanwarne Wala in PDF.