Ashk Aankhon Se Piya Bhi Na Bahaya Humne

ashk aankhon se piya bhi na bahaya hum ne

aag ko dil mein kuchh is tarah chhupaya hum ne

wo kabhi apne hue aur na wo ghair hue

un ko khoya bhi nahin aur na paya hum ne

dil to pahle hi se zaKHmi hai dukhi aur na kar

ai zamane tera har bar uThaya hum ne

hum se milte hain wahi dushman-e-jaani ki tarah

jis kisi ko bhi yahan apna banaya hum ne

sar jhukae rahe is waste har ek lamha

ai KHuda tujh ko har ek zarre mein paya hum ne

hadisa kya tha 'kiran' kuchh na samajh mein aaya

umr bhar kis ke liye KHud ko ganwaya hum ne

(757) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ashk Aankhon Se Piya Bhi Na Bahaya Humne In English By Famous Poet Kavita Kiran. Ashk Aankhon Se Piya Bhi Na Bahaya Humne is written by Kavita Kiran. Read famous Poem Ashk Aankhon Se Piya Bhi Na Bahaya Humne for youth and Student by Kavita Kiran. Free Download Ashk Aankhon Se Piya Bhi Na Bahaya Humne in PDF.