KHizan Ka KHauf Bhi Hai Mausam-e-bahaar Bhi Hai

KHizan ka KHauf bhi hai mausam-e-bahaar bhi hai

kabhi tumhaara kabhi apna intizar bhi hai

simaTti jati hun baDhti hain duriyan jab bhi

ajib shaKHs hai nafrat bhi us se pyar bhi hai

hua hai zaKHmi mera e'timad jis din se

udas hi nahin dil mera be-qarar bhi hai

alag hai sab se tabiat hi us ki aisi hai

wo be-wafa hai magar us pe e'tibar bhi hai

bahaaren jati hain jaane do tum to ruk jao

bahut dinon se tabiat mein intishaar bhi hai

khaDi hun aaj bhi main sang-e-mil ki surat

'kiran' kisi ka zamane se intizar bhi hai

(1065) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHizan Ka KHauf Bhi Hai Mausam-e-bahaar Bhi Hai In English By Famous Poet Kavita Kiran. KHizan Ka KHauf Bhi Hai Mausam-e-bahaar Bhi Hai is written by Kavita Kiran. Read famous Poem KHizan Ka KHauf Bhi Hai Mausam-e-bahaar Bhi Hai for youth and Student by Kavita Kiran. Free Download KHizan Ka KHauf Bhi Hai Mausam-e-bahaar Bhi Hai in PDF.