Jagte Gham Bhi Nahin Jhumte Sae Bhi Nahin

jagte gham bhi nahin jhumte sae bhi nahin

sath apne bhi nahin aur parae bhi nahin

sina-e-saz mein wo git sulag uTThe hain

pyar ban kar jo lab-e-saz pe aae bhi nahin

zindagani to KHaridar-e-sitam hai lekin

tum ne bazar salibon ke sajae bhi nahin

kuchh irade mere giton ki thakan hain ab bhi

kuchh fasane teri aaankhon ne sunae bhi nahin

dhup sochon ke dar-o-baam tak aa pahunchi hai

aur aaise mein teri yaad ke sae bhi nahin

aarzuon ke umangon ke mazaron pe kahin

gham-e-ayyam ne do phul chaDhae bhi nahin

waqt ki rah mein anjaan nazar aate hain

warna ye log kuchh itne to parae bhi nahin

dur ke des ki pariyon ka bharosa kya tha

hum ne KHwabon ke nae dip jalae bhi nahin

zindagani ke hasin shahr mein aa kar 'jami'

zindagani se kahin hath milae bhi nahin

(508) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jagte Gham Bhi Nahin Jhumte Sae Bhi Nahin In English By Famous Poet Khurshid Ahmad Jami. Jagte Gham Bhi Nahin Jhumte Sae Bhi Nahin is written by Khurshid Ahmad Jami. Read famous Poem Jagte Gham Bhi Nahin Jhumte Sae Bhi Nahin for youth and Student by Khurshid Ahmad Jami. Free Download Jagte Gham Bhi Nahin Jhumte Sae Bhi Nahin in PDF.