Ada-shanas Tera Be-zaban Nahin Hota

ada-shanas tera be-zaban nahin hota

kahe wo kis se koi nukta-dan nahin hota

sab ek rang mein hain mai-kade ke KHurd o kalan

yahan tafawut-e-pir-o-jawan nahin hota

qimar-e-ishq mein sab kuchh ganwa diya main ne

umid-e-nafa mein KHauf-e-ziyan nahin hota

sahm raha hun main ai ahl-e-qabr batla do

zamin tale to koi aasman nahin hota

wo mohtasib ho ki waiz wo falsafi ho ki shaiKH

kisi se band tera raaz-dan nahin hota

wo sab ke samne is sadgi se baiThe hain

ki dil churane ka un par guman nahin hota

jo aap chahen ki le len kisi ka muft mein dil

to ye muamla yun mehrban nahin hota

jahan fareb ho 'majzub' ye teri surat

buton ke ishq ka tujh par guman nahin hota

(318) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ada-shanas Tera Be-zaban Nahin Hota In English By Famous Poet Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub. Ada-shanas Tera Be-zaban Nahin Hota is written by Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub. Read famous Poem Ada-shanas Tera Be-zaban Nahin Hota for youth and Student by Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub. Free Download Ada-shanas Tera Be-zaban Nahin Hota in PDF.