Har Chiz Mein Aks-e-ruKH-e-zeba Nazar Aaya

har chiz mein aks-e-ruKH-e-zeba nazar aaya

aalam mujhe sab jalwa hi jalwa nazar aaya

tu kab kisi talib ko sarapa nazar aaya

dekha tujhe utna jise jitna nazar aaya

kin band jab aankhen to meri khul gain aankhen

kya tum se kahun phir mujhe kya kya nazar aaya

jab mahr numayan hua sab chhup gae tare

tu mujh ko bhari bazm mein tanha nazar aaya

gardun ko bhi ab dekh ke hoti hai tasalli

ghurbat mein yahi ek shanasa nazar aaya

sab daulat-e-kaunain jo di ishq ke badle

is bhao ye sauda mujhe sasta nazar aaya

nakaam hi ta-umr raha talib-e-didar

har jalwa tera baad ko parda nazar aaya

jo dur nigahon se sar-e-arsh-e-barin hai

wo nur sar-e-gumbad-e-KHazra nazar aaya

majzub' kabhi soz kabhi saz hai tujh mein

tu 'mir' kabhi aur kabhi 'sauda' nazar aaya

majzub' ke jazbe ki jo samjhe na haqiqat

un aql ke andhon ko ye sauda nazar aaya

(518) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Chiz Mein Aks-e-ruKH-e-zeba Nazar Aaya In English By Famous Poet Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub. Har Chiz Mein Aks-e-ruKH-e-zeba Nazar Aaya is written by Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub. Read famous Poem Har Chiz Mein Aks-e-ruKH-e-zeba Nazar Aaya for youth and Student by Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub. Free Download Har Chiz Mein Aks-e-ruKH-e-zeba Nazar Aaya in PDF.