Jalwa-farma Der Tak Dil-bar Raha

jalwa-farma der tak dil-bar raha

apni kah li sab ne main shashdar raha

jism be-his be-shikan bistar raha

main nae andaz se muztar raha

main KHarab-e-baad-o-saghar raha

dil fida-e-saqi-e-kausar raha

main raha to bagh-e-hasti mein magar

be-nawa be-ashiyan be-par raha

sab chaman walon ne to luTi bahaar

aur mujhe sayyaad hi ka Dar raha

koi samjha rind koi muttaqi

lab pe tauba hath mein saghar raha

tham rahe aansu rahi dil mein jalan

nam rahin aankhen kaleja tar raha

umr bhar phirta raha main dar-ba-dar

mar ke bhi charcha mera ghar ghar raha

saikaDon fikren hain tum ko aaqilo

tum se to 'majzub' hi behtar raha

(415) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Jalwa-farma Der Tak Dil-bar Raha In English By Famous Poet Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub. Jalwa-farma Der Tak Dil-bar Raha is written by Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub. Read famous Poem Jalwa-farma Der Tak Dil-bar Raha for youth and Student by Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub. Free Download Jalwa-farma Der Tak Dil-bar Raha in PDF.