Na Dekhunga Hasinon Ko Are Tauba Na Dekhunga

na dekhunga hasinon ko are tauba na dekhunga

taqaza lakh tu kar ai dil-e-shaida na dekhunga

karun naseh main kyunkar hae ye wada na dekhunga

nazar paD jaegi KHud hi jo danista na dekhunga

nigah-e-naz ko teri main sharminda na dekhunga

haTae leta hun apni nazar achchha na dekhunga

wo kahte hain na samjhunga tujhe 'majzub' main aashiq

ki jab tak kucha o bazar mein ruswa na dekhunga

bala se main agar ro ro ke binai bhi kho baiThun

karunga kya in aankhon ko jo wo jalwa na dekhunga

bala se mere dil par meri jaan kuchh hi guzar jae

main teri KHatir-e-nazuk ko aazurda na dekhunga

uThaunga na zanu se main hargiz apna sar hamdam

are main apni aankhon se unhen jata na dekhunga

hasinon se wahi phir hazrat-e-dil dida-bazi hai

abhi to kar rahe the aap ye dawa na dekhunga

zara ai naseh-e-farzana chal kar sun to do baaten

na hoga phir bhi tu 'majzub' ka diwana dekhunga

(479) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Dekhunga Hasinon Ko Are Tauba Na Dekhunga In English By Famous Poet Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub. Na Dekhunga Hasinon Ko Are Tauba Na Dekhunga is written by Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub. Read famous Poem Na Dekhunga Hasinon Ko Are Tauba Na Dekhunga for youth and Student by Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub. Free Download Na Dekhunga Hasinon Ko Are Tauba Na Dekhunga in PDF.