Nama-bar Aate Rahe Jate Rahe

nama-bar aate rahe jate rahe

hijr mein yun dil ko bahlate rahe

ye bhi kya kam hai ki mere haal par

der tak wo ghaur farmate rahe

shiddat-e-ehsas-e-tanhai na puchh

hum bhari mahfil mein ghabraate rahe

hijr ki tarikiyan baDhti gain

mahr o mah aate rahe jate rahe

koi kya jaanega ye raaz-o-niyaz

dil hamein hum dil ko samjhate rahe

manzil-e-maqsud par pahunche wahi

rah mein jo Thokaren khate rahe

nashsha-e-mai tez-tar hota gaya

shaiKH sahab waz farmate rahe

kya ajab shai hai mata-e-dil 'sahar'

jo use khote rahe pate rahe

(553) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nama-bar Aate Rahe Jate Rahe In English By Famous Poet Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar. Nama-bar Aate Rahe Jate Rahe is written by Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar. Read famous Poem Nama-bar Aate Rahe Jate Rahe for youth and Student by Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar. Free Download Nama-bar Aate Rahe Jate Rahe in PDF.