Taqdir Ke Likhe Se Siwa Ban Gae Hain Hum

taqdir ke likhe se siwa ban gae hain hum

banda na ban sake to KHuda ban gae hain hum

marna bhi ab muhaal hai jina bhi ab muhaal

apne kiye ki aap saza ban gae hain hum

majbur-e-jabr-e-ishq hain muKHta-e-zabt-e-gham

tum hi zara batao ki kya ban gae hain hum

hai ab bhi iltifat ka talib dil-e-hazin

taslim ki raazi-ba-raza ban gae hain hum

ghum-gashtagan-e-dasht-e-mohabbat hun mustafid

rah-e-talab mein sham-e-wafa ban gae hain hum

ab to KHushi hai hath mein gham hai na marg o zist

al-muKHtasar ki teri raza ban gae hain hum

tark-e-talab ke faiz se dil ab hai mutmain

apni saza ki aap jaza ban gae hain hum

(483) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Taqdir Ke Likhe Se Siwa Ban Gae Hain Hum In English By Famous Poet Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar. Taqdir Ke Likhe Se Siwa Ban Gae Hain Hum is written by Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar. Read famous Poem Taqdir Ke Likhe Se Siwa Ban Gae Hain Hum for youth and Student by Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar. Free Download Taqdir Ke Likhe Se Siwa Ban Gae Hain Hum in PDF.