UTha Surahi Ye Shisha Wo Jam Le Saqi

uTha surahi ye shisha wo jam le saqi

phir is ke baad KHuda ka bhi nam le saqi

phir is ke baad hamein tishnagi rahe na rahe

kuchh aur der murawwat se kaam le saqi

tere huzur mein hosh-o-KHirad se kya hasil

kabhi to hosh-o-KHirad se bhi kaam le saqi

phir is ke baad jo hoga wo dekha jaega

abhi to pine pilane se kaam le saqi

hamein hai kaif o nashat-e-surur se matlab

nahin hai mai to nigahon se kaam le saqi

ye aur kuchh bhi hon kafir nahin hain tere rind

to baad-e-jam KHuda ka bhi nam le saqi

kaho ye KHizr se bhaTke na yun zamane mein

yahan se aab-e-baqa-e-dawam le saqi

sahar ka kaam nahin mai-kade ki duniya mein

sahar ka nam na le lutf-e-sham le saqi

kabhi tha zinat-e-mahfil wo rind-e-dariya nosh

ba-waqt-e-daur 'sahar' ka bhi nam le saqi

(565) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

UTha Surahi Ye Shisha Wo Jam Le Saqi In English By Famous Poet Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar. UTha Surahi Ye Shisha Wo Jam Le Saqi is written by Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar. Read famous Poem UTha Surahi Ye Shisha Wo Jam Le Saqi for youth and Student by Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar. Free Download UTha Surahi Ye Shisha Wo Jam Le Saqi in PDF.