Jazbaat

gham ki chha jaegi duniya mein ghaTa mere baad

aur barsenge bahut tir-e-bala mere baad

dekhna hashr kya hota hai ki jab aaegi

dar-o-diwar se rone ki sada mere baad

bijliyan chamkengi aalam-o-masaib ki agar

gham ki chal jaegi har samt hawa mere baad

apni Thokar se meri qabr ko Dhaya aa kar

zulm ye aur bhi zalim ne kiya mere baad

aaj dil khol ke tum zulm-o-sitam kar Dalo

phir chalaoge kahan tegh-e-jafa mere baad

meri surat se bhi chiDh ho gai paida jin ko

KHun rulaegi unhen meri wafa mere baad

hath se apne miTane pe tule ho lekin

kaun bhugtega mohabbat ki saza mere baad

KHud hi pachhtaoge duniya se miTa kar mujh ko

tum ko bedad ka aaega maza mere baad

apne bimar-e-mohabbat ko na taDpao tum

phir dikha lena unhen naz-o-ada mere baad

wo bahane lage aankhon se lahu ke aansu

rang le aai hai ye meri wafa mere baad

'aftab' aaj mohabbat ne asar dikhlaya

un ke sine mein bhi ab dard uTha mere baad

(324) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jazbaat In English By Famous Poet Lala Anoop Chand Aaftab Panipati. Jazbaat is written by Lala Anoop Chand Aaftab Panipati. Read famous Poem Jazbaat for youth and Student by Lala Anoop Chand Aaftab Panipati. Free Download Jazbaat in PDF.