Ab Dimagh-o-dil Mein Wo Quwwat Nahin Wo Dil Nahin

ab dimagh-o-dil mein wo quwwat nahin wo dil nahin

'shad' ab ashaar mere dar-KHur-e-mahfil nahin

tu mere ashk-e-nadamat ki haqiqat kuchh na puchh

us ka har qatra wo dariya hai jahan sahil nahin

ghar KHuda ka tha magar but is mein aa kar bas gae

ab muraqqa hai hasinon ka hamara dil nahin

nukta-chin ho meri rindana rawish par kyun koi

main koi zahid nahin waiz nahin aaqil nahin

parda-dari karti hai dar-parda laila ishq ki

jazba-e-dil qais ka hai parda-e-mahmil nahin

inqalab-e-dahr se ulTa zamane ka waraq

ahl-e-mahfil wo nahin wo raunaq-e-mahfil nahin

hind mein chalne lagi hai ab hawa-e-inqalab

'shad' sach hai ye jagah rahne ke ab qabil nahin

saghar-e-mai pesh kar ke shaiKH kahlata hun main

hadiya-e-ahqar hai ye go aap ke qabil nahin

haq mein ab aashiq ke dekhen faisla hota hai kya

ishq ka dawa huzur-e-husn to baatil nahin

(446) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Dimagh-o-dil Mein Wo Quwwat Nahin Wo Dil Nahin In English By Famous Poet Maharaj Sir Kishan Parashad Shad. Ab Dimagh-o-dil Mein Wo Quwwat Nahin Wo Dil Nahin is written by Maharaj Sir Kishan Parashad Shad. Read famous Poem Ab Dimagh-o-dil Mein Wo Quwwat Nahin Wo Dil Nahin for youth and Student by Maharaj Sir Kishan Parashad Shad. Free Download Ab Dimagh-o-dil Mein Wo Quwwat Nahin Wo Dil Nahin in PDF.