Baada-e-KHum-e-KHana-e-tauhid Ka Mai-nosh Hun

baada-e-KHum-e-KHana-e-tauhid ka mai-nosh hun

chur hun masti mein aisa be-KHud-o-madhosh hun

gird phirne de mujhe saqi ye mera farz hai

misl-e-saghar daur mein hun baada-e-sar-josh hun

tarz-e-KHamoshi meri batlati hai is raaz ko

hun nawasanj-e-haqiqat lakh main KHamosh hun

dardmand-e-ishq ho kar zabt ka KHugar hun main

surat-e-simab ho kar paikar-e-KHamosh hun

kis ki furqat wasl kis ka aur hai mashuq kaun

'shad' main is aalam-e-takwin ka ham-aghosh hun

(339) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baada-e-KHum-e-KHana-e-tauhid Ka Mai-nosh Hun In English By Famous Poet Maharaj Sir Kishan Parashad Shad. Baada-e-KHum-e-KHana-e-tauhid Ka Mai-nosh Hun is written by Maharaj Sir Kishan Parashad Shad. Read famous Poem Baada-e-KHum-e-KHana-e-tauhid Ka Mai-nosh Hun for youth and Student by Maharaj Sir Kishan Parashad Shad. Free Download Baada-e-KHum-e-KHana-e-tauhid Ka Mai-nosh Hun in PDF.