Fana Kahte Hain Kis Ko Maut Se Pahle Hi Mar Jaana

fana kahte hain kis ko maut se pahle hi mar jaana

baqa hai nam kis ka apni hasti se guzar jaana

jo roka rah mein hur ne to shah abbas se bole

mere bhai na ghusse mein kahin had se guzar jaana

kaha ahl-e-haram ne roke yun akbar ke lashe par

jawan hone ka shayad tum ne rakkha nam mar jaana

baqa mein tha fana ka martaba hasil shahidon ko

wahan is par amal tha maut se pahle hi mar jaana

na lete kaam gar sibt-e-nabi sabr-o-tahammul se

lainon ka nigah-e-KHashm se aasan tha mar jaana

dikhai jang mein surat udhar ja pahunche wo kausar

ye asghar hi ki thi raftar idhar aana udhar jaana

yahan ka zinda rahna maut se bad-tar samajhta hun

hayat-e-jawidan hai karbala mein ja ke mar jaana

(397) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fana Kahte Hain Kis Ko Maut Se Pahle Hi Mar Jaana In English By Famous Poet Maharaj Sir Kishan Parashad Shad. Fana Kahte Hain Kis Ko Maut Se Pahle Hi Mar Jaana is written by Maharaj Sir Kishan Parashad Shad. Read famous Poem Fana Kahte Hain Kis Ko Maut Se Pahle Hi Mar Jaana for youth and Student by Maharaj Sir Kishan Parashad Shad. Free Download Fana Kahte Hain Kis Ko Maut Se Pahle Hi Mar Jaana in PDF.