Qayam Umr-e-rawan Ka Musafirana Hai

qayam umr-e-rawan ka musafirana hai

jahan mein rahte hain jab tak ki aab-o-dana hai

abas ghurur hai taufiq-e-KHair par zahid

ye us ki rahmat-o-baKHshish ka ek bahana hai

mujhe riyazat-o-taat par e'timad nahin

sar-e-niyaz mera tera aastana hai

fana hi ka hai baqa nam dusra 'anjum'

nafas ki aamad-o-shud maut ka tarana hai

(448) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qayam Umr-e-rawan Ka Musafirana Hai In English By Famous Poet Mahaveer Parshad Anjum. Qayam Umr-e-rawan Ka Musafirana Hai is written by Mahaveer Parshad Anjum. Read famous Poem Qayam Umr-e-rawan Ka Musafirana Hai for youth and Student by Mahaveer Parshad Anjum. Free Download Qayam Umr-e-rawan Ka Musafirana Hai in PDF.