Hum Ko Aagahi Na Do

hum jaise ji rahe hain

hum ko waise jine do

ye jo aagahi ke dukh hote hain

wo ruh ko zaKHmi kar dete hain

aur ab tak sirf jismon ke ilaj ki research hui hai

aur wo research bhi kya

ki doctors ek maraz durust kar ke

dusra maraz uga dete hain

ye jo aagahi hai

ye to nasur se bhi bad-tar hai

ye to hanste baste insan ko

rula deti hai

ujaD deti hai

ye jo andhera hai na jahaalat ka

wo fil-waqt kitna sukun-baKHsh hai

bachpan ke khilaunon se ji bahlane jaisa

ye jo duniya hai na

is ke kya kya azab hain

kahan kahan jangen ho rahi hain

aur us ke muharrikat kya kya hain

insan hi insan ko mar rahe hain

ye jo kaenat hai na

is mein kitna pani bacha hai

kitni oxigen baqi hai

kitne sayyare KHalaon mein zamin ko khane ke liye ghum rahe hain

ye jo aagahi hai na

ye to jite-ji mar rahi hai

ab hum jite kab hain

hum to jine ke liye falsafe bante rahte hain

hum to jine ke liye sayyare DhunDte rahte hain

hum to jine ki adakari karte hain

hum ko aagahi na do

(4003) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Ko Aagahi Na Do In English By Famous Poet Maryam Tasleem Kiyani. Hum Ko Aagahi Na Do is written by Maryam Tasleem Kiyani. Read famous Poem Hum Ko Aagahi Na Do for youth and Student by Maryam Tasleem Kiyani. Free Download Hum Ko Aagahi Na Do in PDF.