Ikkiswin Sadi Ka Ishq

mujhe aur tumhein koi Dar nahin

na koi wada-wafa karna hai

na koi ummid-e-charagh jalana hai

ek shadi thi farsuda rasm zamane ki

wo marhala bhi tai kar chuke hum

apni apni jagah hum kitne mutmain hain

ab milne bichhaDne ka azab hai kab

ab justuju visal kaisa

ab lazzat-e-lams ki kise tamanna

na zamane ki fikr

na logon ka KHauf

hum in tamam jazbon se kitne aage nikal gae hain na

hathon ki poron mein simaT aae hain

tum lamha lamha mera ang ang chhute ho

main bhi apne sirhane tumhaare lafz piti hun

ungli ke ek ishaare par duniya kitni simaT aai hai

hum ko kitna qarib le aai hai

aur mujhe aur tumhein kisi ka Dar nahin hai

kyun ki main ne bhi apne mobile ka password kisi ko nahin bataya

(6533) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ikkiswin Sadi Ka Ishq In English By Famous Poet Maryam Tasleem Kiyani. Ikkiswin Sadi Ka Ishq is written by Maryam Tasleem Kiyani. Read famous Poem Ikkiswin Sadi Ka Ishq for youth and Student by Maryam Tasleem Kiyani. Free Download Ikkiswin Sadi Ka Ishq in PDF.