Hujum-e-be-KHudi Mein Gham Ki Taswiren Nazar Aain

hujum-e-be-KHudi mein gham ki taswiren nazar aain

mujhe shishe mein jab rindon ki taqdiren nazar aain

mere zehn-e-rasa ne jazb kar lin hausla pa kar

ruKH-e-gul par mashiyyat ki jo tahriren nazar aain

dar-e-zindan se chhuT kar bhi wahi hai silsila yani

ki ek zanjir TuTi lakh zanjiren nazar aain

chaman wale jinhen jaan-e-chaman kahte the wo kaliyan

mujhe to dagh-ha-e-dil ki taswiren nazar aain

na jaane kitne parde darmiyan hail rahe lekin

shab-e-wada tasawwur mein wo tanwiren nazar aain

wahin par himmat-e-insaniyat ne sans toDa hai

jahan taqdir se marub tadbiren nazar aain

koi afsana samjhe ya bayan-e-waqia samjhe

mujhe ek KHwab-e-nadida ki tabiren nazar aain

wo insan KHud-shanasa-e-rumuz-e-dil nahin 'maikash'

ki jis ko zarf-e-rindana mein taqsiren nazar aain

(385) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hujum-e-be-KHudi Mein Gham Ki Taswiren Nazar Aain In English By Famous Poet Masood Maikash Muradabadi. Hujum-e-be-KHudi Mein Gham Ki Taswiren Nazar Aain is written by Masood Maikash Muradabadi. Read famous Poem Hujum-e-be-KHudi Mein Gham Ki Taswiren Nazar Aain for youth and Student by Masood Maikash Muradabadi. Free Download Hujum-e-be-KHudi Mein Gham Ki Taswiren Nazar Aain in PDF.