Husn-e-jaanan Nazar Nahin Aata

husn-e-jaanan nazar nahin aata

aah mein kuchh asar nahin aata

shoala-e-gham nazar nahin aata

ab koi bhi idhar nahin aata

dil shab-e-gham se ho gaya manus

ab KHayal-e-sahar nahin aata

ishq ehsan se ibarat hai

ishq-e-nadan nazar nahin aata

hosh-mandon ki is KHudai mein

koi diwana-gar nahin aata

kab se hain farsh-e-rah dida-o-dil

aane wala magar nahin aata

jab se tum ne nigah pheri hai

koi apna nazar nahin aata

jab se 'maikash' bahaar aai hai

daman-e-dil nazar nahin aata

(450) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn-e-jaanan Nazar Nahin Aata In English By Famous Poet Masood Maikash Muradabadi. Husn-e-jaanan Nazar Nahin Aata is written by Masood Maikash Muradabadi. Read famous Poem Husn-e-jaanan Nazar Nahin Aata for youth and Student by Masood Maikash Muradabadi. Free Download Husn-e-jaanan Nazar Nahin Aata in PDF.