Tazkira Dil Ka Bar Bar Na Kar

tazkira dil ka bar bar na kar

husn ko husn-e-sharmsar na kar

lutf-e-nazzara-e-bahaar uTha

sharh ajza-e-barg-o-bar na kar

qad-o-gesu ko dad-e-ishrat de

fikr-e-adab-e-gir-o-dar na kar

baDh ke saghar uTha jo pina hai

izn-e-saqi ka intizar na kar

shauq ki raushni mein baDhta ja

kuchh KHayal-e-maal-e-kar na kar

din jo guzren baghair-e-shahid-o-jam

zindagi mein unhen shumar na kar

zer-e-diwar-e-mai-kada 'maikash'

KHauf-e-ashob-e-rozgar na kar

(421) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tazkira Dil Ka Bar Bar Na Kar In English By Famous Poet Masood Maikash Muradabadi. Tazkira Dil Ka Bar Bar Na Kar is written by Masood Maikash Muradabadi. Read famous Poem Tazkira Dil Ka Bar Bar Na Kar for youth and Student by Masood Maikash Muradabadi. Free Download Tazkira Dil Ka Bar Bar Na Kar in PDF.