Afsun Pahli Barish Ka

afsun pahli barish ka

ek dhulta lafz nigarish ka

ek chehra aks bahaaron ka

ek aaina ruKHsaron ka

ek KHema-e-abr duaon ka

ek saya narm ridaon ka

ek khel purana chahat ka

ek dard bahana rahat ka

ek peD ghaneri yaadon ka

ek mahka bagh muradon ka

ek ghar nichi diwaron ka

ek zina chand-sitaron ka

ek album husn jaziron ka

ek sarmaya taswiron ka

ek tapta sona tan-man ka

ek chaDhta dariya joban ka

ek jagmag manzar yaadon ka

ek jalta dip iradon ka

ek tair dur jahanon ka

ek surat-gar imkanon ka

ek daur ajab nadani ka

ek rangin moD kahani ka

ek gol chahakti chiDiyon ka

ek narm bichhauna guDiyon ka

ek shor ujaDte shahron ka

ek ranj simaTti nahron ka

ek Dhalta suraj basti ka

ek suna aangan hasti ka

ek thamta saz azanon ka

ek baDhta shor dukanon ka

ek rawi agle waqton ka

ek nauhagar KHush-baKHton ka

ek mubham lafz ibarat ka

ek raushan bol hikayat ka

ek ghera gori banhon ka

ek Dera narm panahon ka

ek Thahra pul barsaton ka

ek jadu kali raaton ka

ek Dher lagega inTon ka

ek taKHt Thikana beTon ka

ek virana gulzaron ka

ek ret-nagar aasaron ka

ek uDta rang minaron ka

ek dam fana ke taron ka

ek sannaTa fariyaadon ka

ek qahr sitam-ijadon ka

ek KHali jam haqiqat ka

ek sachcha nam mohabbat ka

(3284) Peoples Rate This

Masood Mirza Niyazi's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Afsun Pahli Barish Ka In English By Famous Poet Masood Mirza Niyazi. Afsun Pahli Barish Ka is written by Masood Mirza Niyazi. Read famous Poem Afsun Pahli Barish Ka for youth and Student by Masood Mirza Niyazi. Free Download Afsun Pahli Barish Ka in PDF.