Na Tirgi Ke Liye Hain Na Raushni Ke Liye

na tirgi ke liye hain na raushni ke liye

shab-o-sahar ke taqaze hain bandagi ke liye

hamara KHun bhi hazir hai ai KHirad-mando

tumhaare daur ki be-kaif zindagi ke liye

sawad-e-sham to hai aam bazm-e-fitrat mein

magar tulu-e-sahar hai kisi kisi ke liye

rah-e-talab mein andheron ko kosne walo

kisi ne dil bhi jalaya hai raushni ke liye

kuchh aaine bhi teri anjuman mein TuTe hain

tere labon ke tabassum teri KHushi ke liye

faqih-e-shahr se mera salam kah dena

ki zindagi bhi ibaadat hai zindagi ke liye

rida-e-bint-e-inab ban gai bisat-e-nujub

ye ehtimam hai 'raje' kis aadmi ke liye

(423) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Tirgi Ke Liye Hain Na Raushni Ke Liye In English By Famous Poet Maya Khanna Raje Barelvi. Na Tirgi Ke Liye Hain Na Raushni Ke Liye is written by Maya Khanna Raje Barelvi. Read famous Poem Na Tirgi Ke Liye Hain Na Raushni Ke Liye for youth and Student by Maya Khanna Raje Barelvi. Free Download Na Tirgi Ke Liye Hain Na Raushni Ke Liye in PDF.