Chali Ab Gul Ke Hathon Se LuTa Kar Karwan Apna

chali ab gul ke hathon se luTa kar karwan apna

na chhoDa hae bulbul ne chaman mein kuchh nishan apna

ye hasrat rah gai kya kya maze se zindagi karte

agar hota chaman apna gul apna baghban apna

alam se yan talak roin ki aaKHir ho gain ruswa

Dubaya hae aankhon ne mizha ka KHandan apna

raqiban ki na kuchh taqsir sabit hai na KHuban ki

mujhe nahaq satata hai ye ishq-e-bad-guman apna

mera ji jalta hai us bulbul-e-bekas ki ghurbat par

ki jin ne aasre par gul ke chhoDa aashiyan apna

jo tu ne ki so dushman bhi nahin dushman se karta hai

ghalat tha jaante the tujh ko jo hum mehrban apna

koi aazurda karta hai sajan apne ko he zalim

ki daulat-KHwah apna 'mazhar' apna 'jaan-e-jaan' apna

(570) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chali Ab Gul Ke Hathon Se LuTa Kar Karwan Apna In English By Famous Poet Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan. Chali Ab Gul Ke Hathon Se LuTa Kar Karwan Apna is written by Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan. Read famous Poem Chali Ab Gul Ke Hathon Se LuTa Kar Karwan Apna for youth and Student by Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan. Free Download Chali Ab Gul Ke Hathon Se LuTa Kar Karwan Apna in PDF.