Aarzu Aur KHwab Le Jao

aarzu aur KHwab le jao

har amanat janab le jao

hijr hum se saha na jaega

sath apne azab le jao

kaam aaengi tajarbe ke liye

zindagi ki kitab le jao

aap se jo bhi KHar khate hain

un ki KHatir gulab le jao

har andhere mein kaam aaega

ilm ka aaftab le jao

aap ko de rahe hain dil apna

achchha hai ya KHarab le jao

ek darwesh ki hai ye kuTiya

tum mizaj-e-nawab le jao

sab ke honTon pe qufl lag jae

koi aisa jawab le jao

log chehron pe chehre rakhte hain

tum bhi koi naqab le jao

ye adab ki dukan hai sahab

jo bhi chaho KHitab le jao

jis jagah ho akal sukhe se

us jagah jal sahab le jao

dil jigar jaan sab tumhaare hain

jab bhi chaho janab le jao

ishq ki ye kitab le jao

is ka har ek bab le jao

kaise kaToge din judai ke

sath yaad-e-rabab le jao

yaad ke zaKHm ka hai ye marham

tum watan ki turab le jao

KHush rakhe aap ko KHuda har pal

muflisi ka sawab le jao

kaise kaTe hain din judai ke

har nafas ka hisab le jao

nanhe-munnon ko khelne bhi do

bojh hai ye nisab le jao

har ghalat baat bhi saha na karo

hum se thoDa itab le jao

(412) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aarzu Aur KHwab Le Jao In English By Famous Poet Meenakshi Jijivisha. Aarzu Aur KHwab Le Jao is written by Meenakshi Jijivisha. Read famous Poem Aarzu Aur KHwab Le Jao for youth and Student by Meenakshi Jijivisha. Free Download Aarzu Aur KHwab Le Jao in PDF.