Apni Hasti MiTa Ke Kya Hoga

apni hasti miTa ke kya hoga

us ko apna bana ke kya hoga

jin ke chehre pe hain kai chehre

un ko shisha dikha ke kya hoga

apne haq ke liye laDo khul kar

yun hi aansu baha ke kya hoga

jab hain pardes mein sajan to phir

hath mehndi racha ke kya hoga

be-wafaon ko haal-e-dil apna

chhoDiye bhi suna ke kya hoga

un ko KHud par bhi jab yaqin nahin

mera sar bhi kaTa ke kya hoga

jo kabhi hum ko puchhta hi nahin

us ki mahfil mein ja ke kya hoga

khiDkiyan zehn ki nahin kholin

sirf shamen jala ke kya hoga

apne aamal par nazar rakhiye

aib un ke gina ke kya hoga

tu jo duniya mein ban raha hai KHuda

samne phir KHuda ke kya hoga

ye KHabar aai tum na aaoge

phir to ye ghar saja ke kya hoga

zikr se jin ke dhaDkanen baDh jaen

un se nazren mila ke kya hoga

jab tere pyar pe yaqin hai hamein

phir hamein aazma ke kya hoga

zindagi mein agar sukun na ho

phir ye daulat kama ke kya hoga

jo hain baune rahenge baune hi

un ko sar par biTha ke kya hoga

(375) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apni Hasti MiTa Ke Kya Hoga In English By Famous Poet Meenakshi Jijivisha. Apni Hasti MiTa Ke Kya Hoga is written by Meenakshi Jijivisha. Read famous Poem Apni Hasti MiTa Ke Kya Hoga for youth and Student by Meenakshi Jijivisha. Free Download Apni Hasti MiTa Ke Kya Hoga in PDF.