Hum Unhen Dard-e-dil Sunate Hain

hum unhen dard-e-dil sunate hain

wo faqat han mein han milate hain

apne wadon ko bhul jate hain

bewafa wo hamein batate hain

jin ke kirdar mein hain dagh kai

wo hamein aaina dikhate hain

sath dete nahin kisi ka bhi

sath sab ke nazar jo aate hain

jis ki fitrat ko jaante hain hum

us se ummid kyun lagate hain

jin andheron se Dar rahe ho tum

wo ujalon se KHauf khate hain

in charaghon ka hausla dekho

aandhiyon ko ye munh chiDhate hain

dil mein pal jae jo ghalat-fahmi

KHun ke rishte bhi TuT jate hain

hum ne dekha 'jijiwisha' aksar

na-KHuda kashtiyan Dubaate hain

(456) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Hum Unhen Dard-e-dil Sunate Hain In English By Famous Poet Meenakshi Jijivisha. Hum Unhen Dard-e-dil Sunate Hain is written by Meenakshi Jijivisha. Read famous Poem Hum Unhen Dard-e-dil Sunate Hain for youth and Student by Meenakshi Jijivisha. Free Download Hum Unhen Dard-e-dil Sunate Hain in PDF.