Wo Bewafa Hai Hamein Ye Malal ThoDi Hai

wo bewafa hai hamein ye malal thoDi hai

hamein bhi raat din us ka KHayal thoDi hai

abhi hai qaid mein be-shak jahan ki rasmon ke

abhi sazaon se nari bahaal thoDi hai

ghulam apna bana len jo KHwahishat ko hum

basar gharibi mein karna muhaal thoDi hai

hamari aankh mein sharm-o-haya ka hai parda

nazar milae koi ye majal thoDi hai

wafa karoge to hum se wafa hi paoge

tumhaare sath ana ka sawal thoDi hai

zara yaqin ka chashma laga ke dekho to

abhi wafaon ka itna akal thoDi hai

ye kaisi chaaron taraf chandni bikharti hai

koi hasin hai chhat par hilal thoDi hai

ye baat aaj mujhe aaine ne samjhai

tumhaare husn pe itna zawal thoDi hai

zarur tum ho kisi ke chaDhae mein warna

tumhaare KHun mein itna ubaal thoDi hai

hamara dil to hai shaffaf aaine ki tarah

is aaine mein bhala koi baal thoDi hai

(428) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Bewafa Hai Hamein Ye Malal ThoDi Hai In English By Famous Poet Meenakshi Jijivisha. Wo Bewafa Hai Hamein Ye Malal ThoDi Hai is written by Meenakshi Jijivisha. Read famous Poem Wo Bewafa Hai Hamein Ye Malal ThoDi Hai for youth and Student by Meenakshi Jijivisha. Free Download Wo Bewafa Hai Hamein Ye Malal ThoDi Hai in PDF.