Duniya-e-gham Ko Zer-o-zabar Kar Sake To Kar

duniya-e-gham ko zer-o-zabar kar sake to kar

rahmat ki mujh pe ek nazar kar sake to kar

ai dil tu aisi aah agar kar sake to kar

duniya udhar ki aaj idhar kar sake to kar

ai aah-e-barq-rez tujhe rokta hai kaun

us be-KHabar ko meri KHabar kar sake to kar

mashhur hai ki ishq ki rahen hain KHaufnak

himmat se pahle puchh safar kar sake to kar

aariz hain tere zulfen bhi teri kisi se kya

ek ja pe jama sham-o-sahar kar sake to kar

nadan hadis-e-ishq ke mani kuchh aur hain

qabu mein dil ko apne agar kar sake to kar

ai aah tu hi hausla apna nikal le

us sang-dil ke dil pe asar kar sake to kar

'alim' jahan-e-ishq ki dushwariyan na puchh

dil ko jo raazdar-e-jigar kar sake to kar

(403) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duniya-e-gham Ko Zer-o-zabar Kar Sake To Kar In English By Famous Poet Mirza Altaf Husain Alam Lucknwi. Duniya-e-gham Ko Zer-o-zabar Kar Sake To Kar is written by Mirza Altaf Husain Alam Lucknwi. Read famous Poem Duniya-e-gham Ko Zer-o-zabar Kar Sake To Kar for youth and Student by Mirza Altaf Husain Alam Lucknwi. Free Download Duniya-e-gham Ko Zer-o-zabar Kar Sake To Kar in PDF.