Ghir Ke Ghabraate Na The Hijr Ke Aazaron Mein

ghir ke ghabraate na the hijr ke aazaron mein

jab ki taqat thi kabhi aap ke bimaron mein

le ke hum dil gae kahte ye jafa-karon mein

kaun leta hai ise itne KHaridaron mein

di rihai mujhe sayyaad ne ai wae nasib

daKHl jab fasl-e-KHizan ka hua gulzaron mein

mere marne ka hua ranj har ek qaidi ko

ki hai kohram bapa tere giraftaron mein

dast-e-nazuk se mujhe jam diya saqi ne

aabru baDh gai aur aaj se mai-KHwaron mein

aatish-e-hijr se kya Dar jo teri marzi se

raat kar denge basar loT ke angaron mein

phenk dena na kahin bhul ke hangam-e-sahar

dil bhi lipTa hai inhin sukhe hue haaron mein

nala-e-bulbul-e-shaida na jise phand sake

ye bulandi to nahin bagh ki diwaron mein

nikla wo tir-e-nigah bhi to ye kah kar nikla

mera daman na ulajh jae kahin KHaron mein

yun sunai gai hai us ko KHabar 'alim' ki

mar gaya koi tere taza giraftaron mein

(368) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Ghir Ke Ghabraate Na The Hijr Ke Aazaron Mein In English By Famous Poet Mirza Altaf Husain Alam Lucknwi. Ghir Ke Ghabraate Na The Hijr Ke Aazaron Mein is written by Mirza Altaf Husain Alam Lucknwi. Read famous Poem Ghir Ke Ghabraate Na The Hijr Ke Aazaron Mein for youth and Student by Mirza Altaf Husain Alam Lucknwi. Free Download Ghir Ke Ghabraate Na The Hijr Ke Aazaron Mein in PDF.