Kahna Na Mana Kucha-e-qatil Mein Rah Gaya

kahna na mana kucha-e-qatil mein rah gaya

achchha hua jo dil kisi mushkil mein rah gaya

kya puchhte ho aise musafir ki sarguzisht

jis ko ki dil bhi chhoD ke manzil mein rah gaya

nikla tha ban sanwar ke bahut chaudhwin ka chand

phir bhi wo tere ruKH ke muqabil mein rah gaya

qatil ne tegh myan mein kuchh soch kar rakhi

thoDa sa jab ki dam tan-e-bismil mein rah gaya

dirham mila bhi munim-e-kaj-KHulq se agar

ek dagh ban ke wo kaf-e-sail mein rah gaya

itna bata de us ke uThane se faeda

taswir ban ke jo teri mahfil mein rah gaya

kya jaane bahr-e-ishq ki haalat wo bad-nasib

dam toD kar jo daman-e-sahil mein rah gaya

fikr us ki ranj us ka ummid us ki kuchh na puchh

jo sar jhuka ke kucha-e-qatil mein rah gaya

tabir-e-KHwab zulf-e-musalsal thi kya yahi

'alim' jakaD ke main jo salasil mein rah gaya

(378) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahna Na Mana Kucha-e-qatil Mein Rah Gaya In English By Famous Poet Mirza Altaf Husain Alam Lucknwi. Kahna Na Mana Kucha-e-qatil Mein Rah Gaya is written by Mirza Altaf Husain Alam Lucknwi. Read famous Poem Kahna Na Mana Kucha-e-qatil Mein Rah Gaya for youth and Student by Mirza Altaf Husain Alam Lucknwi. Free Download Kahna Na Mana Kucha-e-qatil Mein Rah Gaya in PDF.