Lijiye KHatm Hua Gardish-e-taqdir Ka Rang
lijiye KHatm hua gardish-e-taqdir ka rang
aaiye dekhiye miTti hui taswir ka rang
hum ne jheli hain zamane mein kashish ki kaDiyan
hum se puchhe koi bigDi hui taqdir ka rang
zikr-e-tadbir abas fikr-e-rihai be-sud
jab ki miTta nazar aane laga taqdir ka rang
hum bhi aae hain kafan bandh ke sar se qatil
dekhna hai teri chalti hui shamshir ka rang
kya bataun main tumhein soz-e-darun ki had ko
din mein sau bar badal jata hai zanjir ka rang
uf re wo zor-e-jawani ki ilahi tauba
aaina toD ke nikla teri taswir ka rang
hum samajhte hain zamane ki rawish ko 'alim'
hum ne dekha hai badalte hue taqdir ka rang
(333) Peoples Rate This