Main Shama-e-bazm-e-alam-e-imkan Kiya Gaya

main shama-e-bazm-e-alam-e-imkan kiya gaya

insaniyat ko dekh ke insan kiya gaya

ab mere imtihan ka saman kiya gaya

yani supurd-e-alam-e-imkan kiya gaya

mahfuz main ne rakkhe junun ke tabarrukat

daman agar phaTa to gareban kiya gaya

tai kar ke irtiqa ke manazil ko shauq se

pahuncha jab apne had pe to insan kiya gaya

sach puchhiye to kya tha faqat ek KHar-zar

mere liye jahan ko gulistan kiya gaya

dariya to aur bhi the zamane mein be-shumar

aab-e-hayat chashma-e-haiwan kiya gaya

kuchh aur raushni ka baDha husn ya nahin

fanus mein jo shoale ko pinhan kiya gaya

(388) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Shama-e-bazm-e-alam-e-imkan Kiya Gaya In English By Famous Poet Mirza Altaf Husain Alam Lucknwi. Main Shama-e-bazm-e-alam-e-imkan Kiya Gaya is written by Mirza Altaf Husain Alam Lucknwi. Read famous Poem Main Shama-e-bazm-e-alam-e-imkan Kiya Gaya for youth and Student by Mirza Altaf Husain Alam Lucknwi. Free Download Main Shama-e-bazm-e-alam-e-imkan Kiya Gaya in PDF.