Sham-e-taklif Ki Duniya Mein Sahar Ho To Sahi

sham-e-taklif ki duniya mein sahar ho to sahi

hae kam-baKHt kahin dard-e-jigar ho to sahi

baiThne wale na baiThenge kabhi mahfil mein

o sitamgar tere dil mein mera ghar ho to sahi

dil-e-betab ka milna nahin mushkil lekin

hath bhar ka kisi sine mein jigar ho to sahi

hum ye samjhenge ki dil tha hi nahin sine mein

un ki duzdida nigahon ka asar ho to sahi

chhup gaya aankhon se ek nur bas itna kah kar

kya batane mein harj tha koi ghar ho to sahi

kah ke ye phir gai thin kahkashan se aankhen

tujh se milti hui wo rahguzar ho to sahi

phir dikhaunga main anmol jawahar 'alim'

meri qismat se koi ahl-e-nazar ho to sahi

(380) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sham-e-taklif Ki Duniya Mein Sahar Ho To Sahi In English By Famous Poet Mirza Altaf Husain Alam Lucknwi. Sham-e-taklif Ki Duniya Mein Sahar Ho To Sahi is written by Mirza Altaf Husain Alam Lucknwi. Read famous Poem Sham-e-taklif Ki Duniya Mein Sahar Ho To Sahi for youth and Student by Mirza Altaf Husain Alam Lucknwi. Free Download Sham-e-taklif Ki Duniya Mein Sahar Ho To Sahi in PDF.