Hai AnkhDiyon Mein Nind To Ek Kaam Kijiye

hai ankhDiyon mein nind to ek kaam kijiye

ye bhi to ghar hai aap ka aaram kijiye

ye zoaf hai ki pahunche hai ta-subh ruKH talak

gar zulf par nigah sar-e-sham kijiye

kal main jo ye kaha ki kisi ke alam se aah

mar jaiye bas aur na kuchh kaam kijiye

to wo suna ke mujh ko ye kahta hai ek se

kya lutf hai kisi ko jo badnam kijiye

is zindagi se khinchiye 'mehnat' gar apna hath

phaila ke panw zauq se aaram kijiye

(757) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai AnkhDiyon Mein Nind To Ek Kaam Kijiye In English By Famous Poet Mirza Husain Ali Mehnat. Hai AnkhDiyon Mein Nind To Ek Kaam Kijiye is written by Mirza Husain Ali Mehnat. Read famous Poem Hai AnkhDiyon Mein Nind To Ek Kaam Kijiye for youth and Student by Mirza Husain Ali Mehnat. Free Download Hai AnkhDiyon Mein Nind To Ek Kaam Kijiye in PDF.