Ashk-e-gham Shorish-e-pinhan Ki KHabar Dete Hain

ashk-e-gham shorish-e-pinhan ki KHabar dete hain

ye wo qatre hain jo tufan ki KHabar dete hain

qalb-e-sozan mein shab-o-roz machalte jazbaat

garmi-e-shauq-e-farawan ki KHabar dete hain

in sisakte hue ghunchon ko hiqarat se na dekh

ye tujhe nazm-e-gulistan ki KHabar dete hain

tere mai-KHane ke dam toDte aaen saqi

kisi taghir-e-numayan ki KHabar dete hain

wo ufuq par jo ujale se nazar aate hain

aamad-e-subh-e-daraKHshan ki KHabar dete hain

sehn-e-gulshan mein ba-har-an badalte hue rang

ek nae daur-e-bahaaran ki KHabar dete hain

haq to ye hai ki KHalaon ke safar ai 'mansha'

azmat-e-rutba-e-insan ki KHabar dete hain

(533) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ashk-e-gham Shorish-e-pinhan Ki KHabar Dete Hain In English By Famous Poet Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Ashk-e-gham Shorish-e-pinhan Ki KHabar Dete Hain is written by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Read famous Poem Ashk-e-gham Shorish-e-pinhan Ki KHabar Dete Hain for youth and Student by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Free Download Ashk-e-gham Shorish-e-pinhan Ki KHabar Dete Hain in PDF.