Ba-nam-e-ishq Gham-e-motabar Zaruri Hai

ba-nam-e-ishq gham-e-mo'tabar zaruri hai

hayat ke liye koi hunar zaruri hai

kuchh aur ho na ho hasil baqa-e-dil ke liye

ek iztirab-e-musalsal magar zaruri hai

nashat-e-did jo manzur hai to ai yaro

nazar ke sath KHulus-e-nazar zaruri hai

bahut ghalat hai tamanna-e-KHud-faramoshi

wafur-e-ishq mein apni KHabar zaruri hai

KHyal-e-zinat-e-fasl-e-bahaar se pahle

mizaj-dani-e-barq-o-sharar zaruri hai

kuchh hum bhi aap se ummid-e-lutf rakhte hain

udhar bhi ek uchaTti nazar zaruri hai

chaman ko aur hasin-tar banana hai 'mansha'

to rang-e-kari-e-KHun-e-jigar zaruri hai

(701) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ba-nam-e-ishq Gham-e-motabar Zaruri Hai In English By Famous Poet Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Ba-nam-e-ishq Gham-e-motabar Zaruri Hai is written by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Read famous Poem Ba-nam-e-ishq Gham-e-motabar Zaruri Hai for youth and Student by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Free Download Ba-nam-e-ishq Gham-e-motabar Zaruri Hai in PDF.