Dard Se Jaan Churaate Hue Dar Lagta Hai

dard se jaan churaate hue Dar lagta hai

dil ko viran banate hue Dar lagta hai

chaar aansu sar-e-mizhgan to koi bar nahin

gham ki tauqir ghaTate hue Dar lagta hai

log to baat ka afsana bana dete hain

is liye lab bhi hilate hue Dar lagta hai

apni hasti se na ho jaun kahin begana

aap se rabt baDhate hue Dar lagta hai

husn-e-be-parda ke jalwe bahut arzan hain magar

tohmat-e-did uThate hue Dar lagta hai

azmat-e-dair-o-haram ka na bharam khul jae

sar tere dar pe jhukate hue Dar lagta hai

jis ke har lafz mein hon gham ki karahen 'mansha'

aisa afsana sunate hue Dar lagta hai

(503) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dard Se Jaan Churaate Hue Dar Lagta Hai In English By Famous Poet Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Dard Se Jaan Churaate Hue Dar Lagta Hai is written by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Read famous Poem Dard Se Jaan Churaate Hue Dar Lagta Hai for youth and Student by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Free Download Dard Se Jaan Churaate Hue Dar Lagta Hai in PDF.