Dil Ko Har Aish Se Begana Bana Kar ChhoDa

dil ko har aish se begana bana kar chhoDa

tum ne aaKHir ise diwana bana kar chhoDa

do nigahon ka tasadum to koi baat na thi

us ka bhi logon ne afsana bana kar chhoDa

sehn-e-gulshan mein tarab-KHez bahaar aate hi

hum ne har phul ko paimana bana kar chhoDa

saikDon tarah ke but is mein ikaTTha kar ke

kaba-e-dil ko bhi but-KHana bana kar chhoDa

aalam-e-shauq mein parwaz ke matwalon ko

azm-e-bebak ne parwana bana kar chhoDa

dil ka thoDa sa lahu is mein mila kar hum ne

ashk-e-be-dard ko durdana bana kar chhoDa

'mansha' is daur mein hasti ki giranbari ne

achchhe-achchhon ko bhi diwana bana kar chhoDa

(556) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ko Har Aish Se Begana Bana Kar ChhoDa In English By Famous Poet Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Dil Ko Har Aish Se Begana Bana Kar ChhoDa is written by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Read famous Poem Dil Ko Har Aish Se Begana Bana Kar ChhoDa for youth and Student by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Free Download Dil Ko Har Aish Se Begana Bana Kar ChhoDa in PDF.