Fasl-e-gul Ki Hai Aabru Humse

fasl-e-gul ki hai aabru hum se

hum se hai sail-e-rang-o-bu hum se

husn-e-fitrat ke raazdar hain hum

phul karte hain guftugu hum se

farsh gul par ba-waqt-e-subh-e-nasim

aa ke milti hai ba-wazu hum se

hum shahid-e-gham-o-alam hi sahi

zindagi to hai surKH-ru hum se

nam saqi ka ho gaya warna

mai-kade mein hai ha-o-hu hum se

bazm-e-rindan mein ab bhi baqi hai

waqat-e-baada-o-subu hum se

hum se hai 'dard'-o-'dagh' ki azmat

hum se hai nam-e-'arzu' hum se

sikhna ho to sikh le 'mansha'

koi andaz-e-justuju hum se

(659) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fasl-e-gul Ki Hai Aabru Humse In English By Famous Poet Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Fasl-e-gul Ki Hai Aabru Humse is written by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Read famous Poem Fasl-e-gul Ki Hai Aabru Humse for youth and Student by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Free Download Fasl-e-gul Ki Hai Aabru Humse in PDF.