Gul ZaKHm Ko Aansu Ko Guhar Humne Kaha Hai

gul zaKHm ko aansu ko guhar hum ne kaha hai

har aib-e-mohabbat ko hunar hum ne kaha hai

ranai-e-jalwa ko ba-sad husn-e-tayaqqun

KHud apna hi ek aks-e-nazar hum ne kaha hai

kuchh baat to hai jis ke sabab sare jahan mein

ai dost tujhe KHuld-nazar hum ne kaha hai

kahne ko rah-e-shauq mein rahi to bahut the

manzil ko magar gard-e-safar hum ne kaha hai

ho jin se gham-e-tirgi-e-shab ka mudawa

aise hi ujalon ko sahar hum ne kaha hai

haq-goi ka anjam samajh kar bhi ai 'mansha'

jo kahna tha be-KHauf-o-KHatar hum ne kaha hai

(564) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gul ZaKHm Ko Aansu Ko Guhar Humne Kaha Hai In English By Famous Poet Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Gul ZaKHm Ko Aansu Ko Guhar Humne Kaha Hai is written by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Read famous Poem Gul ZaKHm Ko Aansu Ko Guhar Humne Kaha Hai for youth and Student by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Free Download Gul ZaKHm Ko Aansu Ko Guhar Humne Kaha Hai in PDF.