Humne Mana Hamein Barbaad Karegi Duniya

hum ne mana hamein barbaad karegi duniya

kar ke barbaad magar yaad karegi duniya

jab use zulm-o-sitam hi mein maza aata hai

kisi nashad ko kya shad karegi duniya

dekhna ye hai ki hum ahl-e-junun par kab tak

nit nae tarz ki bedad karegi duniya

aaj tu apni karamat pe itraati hai

kal magar aap hi fariyaad karegi duniya

dushmani hai use arbab-e-wafa se lekin

ye na honge to inhen yaad karegi duniya

nahin malum yunhi KHud ko kahan tak 'mansha'

qaid-e-aKHlaq se aazad karegi duniya

(546) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Humne Mana Hamein Barbaad Karegi Duniya In English By Famous Poet Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Humne Mana Hamein Barbaad Karegi Duniya is written by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Read famous Poem Humne Mana Hamein Barbaad Karegi Duniya for youth and Student by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Free Download Humne Mana Hamein Barbaad Karegi Duniya in PDF.