Ishq Ko Bar-e-zindagi Na Kaho

ishq ko bar-e-zindagi na kaho

baat itni bhi be-tuki na kaho

dil ko jis mein ho fikr-e-sud-o-ziyan

us tijarat ko aashiqi na kaho

kuchh to marne ka hausla dikhlao

sirf jine ko zindagi na kaho

dil-lagi ke siwa bhi kuchh hai ishq

ishq ko mahz dil-lagi na kaho

kuchh na kah kar bhi apne dil ki baat

yun ba-andaz-e-KHamushi na kaho

sab kaho par hamein KHuda ke liye

apne mahfil mein ajnabi na kaho

jis ko kuchh aadmi ka dard na ho

aise zalim ko aadmi na kaho

dil ko baKHshe jo zindagi 'mansha'

tum to us gham ko gham kabhi na kaho

(555) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Ko Bar-e-zindagi Na Kaho In English By Famous Poet Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Ishq Ko Bar-e-zindagi Na Kaho is written by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Read famous Poem Ishq Ko Bar-e-zindagi Na Kaho for youth and Student by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Free Download Ishq Ko Bar-e-zindagi Na Kaho in PDF.