Jigar Ko Chaak Ki Dil Ko Lahu Lahu Kije

jigar ko chaak ki dil ko lahu lahu kije

hayat ko kisi unwan surKH-ru kije

nahin hai hausla mar mar ke zinda rahne ka

to kaun kahta hai jine ki aarzu kije

hai chaak chaak bahut zindagi ka pairahan

KHuda ke waste kuchh koshish-e-rafu kije

lahu se pahle gulistan ko kijiye sairab

phir us ke baad tamanna-e-rang-o-bu kije

tumhaari bazm mein aai kahan se ye raunaq

nazar mila ke zara hum se guftugu kije

ba-faiz-e-ishq taqaddus-maab hain hum log

hamara zikr bhi kije to ba-wazu kije

qalam uThe to rahe azmat-e-qalam ka KHayal

ai 'mansha' yunhi sada hifz-e-abru kije

(598) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jigar Ko Chaak Ki Dil Ko Lahu Lahu Kije In English By Famous Poet Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Jigar Ko Chaak Ki Dil Ko Lahu Lahu Kije is written by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Read famous Poem Jigar Ko Chaak Ki Dil Ko Lahu Lahu Kije for youth and Student by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Free Download Jigar Ko Chaak Ki Dil Ko Lahu Lahu Kije in PDF.