Mohabbat Ka Qarina Aa Gaya Hai

mohabbat ka qarina aa gaya hai

hamein mar mar ke jina aa gaya hai

ba-faiz-e-gham hum ahl-e-dil ke hathon

do-alam ka KHazina aa gaya hai

teri shadabiyon ka zikr sun kar

gulon ko bhi pasina aa gaya hai

bhaDak uThti hai jis mein aag dil ki

wo sawan ka mahina aa gaya hai

musafir ab kahin to ja lagenge

talatum mein safina aa gaya hai

samjhe baiThe hain KHud ko rind-e-kaamil

jinhen do ghunT pina aa gaya hai

junun ab tak tha 'mansha' chaak-daman

ab us ko chaak sina aa gaya hai

(614) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohabbat Ka Qarina Aa Gaya Hai In English By Famous Poet Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Mohabbat Ka Qarina Aa Gaya Hai is written by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Read famous Poem Mohabbat Ka Qarina Aa Gaya Hai for youth and Student by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Free Download Mohabbat Ka Qarina Aa Gaya Hai in PDF.