Phulon Ko Tabassum Ki Ada Tujhse Mili Hai

phulon ko tabassum ki ada tujh se mili hai

gulshan ko junun-KHez hawa tujh se mili hai

ai KHuld-nazar jaan-e-chaman ruh-e-bahaaran

shabnam ko ye namnak ziya tujh se mili hai

bazm-e-mah-o-anjum ko bhi ai shahid-e-rana

ye nur se bharpur faza tujh se mili hai

gulgun lab-o-ruKHsar ke sadqe mein shafaq ko

ye rang ki daulat ba-KHuda tujh se mili hai

us ru-e-ziya-bar pe ye abr ka ghungaT

bijli ko yaqinan ye haya tujh se mili hai

saqi teri aankhon ki qasam saghar-e-mai ko

ye kaifiyat-e-hosh-ruba tujh se mili hai

ai dost teri nim-nigahi ke tasadduq

dil ko KHalish-e-ruh-faza tujh se mili hai

kaunain ke har raaz ko mahram jise kahiye

'mansha' ko wahi fikr-e-rasa tujh se mili hai

(587) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phulon Ko Tabassum Ki Ada Tujhse Mili Hai In English By Famous Poet Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Phulon Ko Tabassum Ki Ada Tujhse Mili Hai is written by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Read famous Poem Phulon Ko Tabassum Ki Ada Tujhse Mili Hai for youth and Student by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Free Download Phulon Ko Tabassum Ki Ada Tujhse Mili Hai in PDF.