Sharik-e-soz-e-darun Jab Se Ho Gae Alfaz

sharik-e-soz-e-darun jab se ho gae alfaz

nawa-e-dard mein shoale piro gae alfaz

suna ke dastan dil-doz wardaton ki

na jaane kitnon ke daman bhigo gae alfaz

kabhi kabhi to kuchh aisa bhi ittifaq hua

taDap ke jag uThe arman to so gae alfaz

mili na jab unhen iblagh ki tawanai

to aap apne muqaddar ko ro gae alfaz

uThe to sare zamane ki ban gae aawaz

dabe to aabru apni Dubo gae alfaz

KHatib-e-shahr ne ki baat dosti ki magar

dilon mein tuKHm adawat ke bo gae alfaz

ghazal-sarai-e-'mansha' pe yun hua mahsus

ki jaise ruh ke andar samo gae alfaz

(534) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sharik-e-soz-e-darun Jab Se Ho Gae Alfaz In English By Famous Poet Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Sharik-e-soz-e-darun Jab Se Ho Gae Alfaz is written by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Read famous Poem Sharik-e-soz-e-darun Jab Se Ho Gae Alfaz for youth and Student by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Free Download Sharik-e-soz-e-darun Jab Se Ho Gae Alfaz in PDF.